Maine tujhse kabhi, kuch kaha hi nahi
par tere bagher, ek pal main jiya hi nahi
Tere dhaye sitam , mujhe yaad rahe
yahi soch kar har zakhm siya hi nahi
raato ko uthkar aksar tujhe likha hai
afsos tujhe is baat ka pata hi nahi
dard duniya ke, seeta raha ab tak
apne zakhmo ka kuch kia hi nahi
paigham de sake mere marne ka tujhko
yaha aisi koi bad-e- saba hi nahi
wo raundh kar chal diye khwabo ko
kya kar chale hain unhe pata hi nahi
sajdo mai sirf , tujhe hi manga tha
ab mere honto.N pe koi dua hi nahi
laakh chupaya, zamane se ashqo ko
kambakht soch tujhe chupa hi nahi
Tanhayo mai maine sirf tujhe hi socha hai
par tune merei kisi sada ko suna hi nahi
Tum khud hi sabko apna samajh lete ho
Mujahid isme kisi ki khata hi nahi
Author: Mujahid Ali Khan ©
Comments