Tujh se maine kabhi kuch kaha hi nahi
main bina tere ik pal jiya hi nahi
yaad mujhko rahe.n tere dhaye sitam
soch kar zakhm maine siya hi nahi
likha aksar hai raaton ko uthker tujhe
par tujhe ilm afsos iska nahi
dard duniya ke, seeta raha ab talak
apne zakhmo ka kuch bhi kia hi nahi
meri mout ki jo khabar de tujhe
yaha.n aisi bad-e- saba hi nahi
chale roundh kar voh mere khwaab sare
aur kya kar chale hain pata hi nahi
faqat tujhko maanga tha sajdon me maine
ab honto.N pe koi dua hi nahi
chupaya, zamane se ashqo ko aksar
tere zikr par ye chupa hi nahi
faqat tujhko socha hai tanhaaiyon me
magar tune mujhko suna hi nahi
Tu sabko hi maane hai apna agar to
Mujahid ki isme Koi khata hi nahi
Author: Mujahid Ali Khan ©
Comentarios