Dosto.N Yeh Geet, Yeh Nazm, Mohabbat ke naam
Mohabbat ka zikr hua tau, Dil-E-Jana ki baat laazmi hai
Aur jab Dil-E-Jaana ki baat ho tau ,uski Khoobsoorti ka
Zikr bhi laazmi hai.
Mohabbat ,aur dil-e-jaana ki
khoobsoorti ka zikr kiya hai
yaha.N
is geet mai ,tareef ki inteha likh di hai
thoda taveel hai magar pariyega.
Ummeed haii aap logo ko pasand aayega
Aur aap log duao
Se nawazengai..
Apke dilo tak pohach jaye ,tau khushi hogi
Shukriya..
~~Maan Lo Bohat Khoobsurat Ho Tum~~
Dil chahe kahu meri mohabbat ho tum
Maan lo bohat khoobsurt ho tum
Main ishq ka raja tu mere dil ki rani
Meri Zindagi fasana tu uski kahani
Luta du main tum par meri jaan zindagani
Ke meri zindagi ki zarurat ho tum.
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Boondh boondh rait pai shabnam k jaise
Wo ashiqui ke naye kadam k jaise
Mere masoom sanam k jaise
K tishnagi mai meri rahat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Mangu tujhe duwao mai rab se
Na janu k yeh silsila hai kab se
K shayad zamee pai zindagi hai jabse
Mere hoslo.n ki taqat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Har taraqqi ki ibteda hai tumse
Ke ishq-e- junoon ki inteha hai tumse
Tajdeed-e- wafa ka falsafa hai tumse
K dil mai chupi ek naseehat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Teri gesuao ki ghani chaao mai
Zindagi ki nayi khushi pau main
Tu mera geet tujhe gunguao main
Ashiqui ki nayi zarurat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Labo par bikharti yeh laali qayamat
Umr tumhari yeh baaali qayamat
Lachakti kamar ki yeh daali qayamat
Bhanware ne ki kali se shararat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Yeh awaz ki khankhanat ke haye
Lafzo ki adaygi ki nazakat ke haye
Unhe har pal sunne ki chahat ke haye
Ke har pal meri hasrat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Wo ankho mai tere masti ke dore
Mera dil jinme uljhe hole hole
Aur kano mai tere yeh chupke se bole
Meri zindagi ki haqeeqat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Aur kya kahu main tumse janae jana
Lamha Lamha barhti hui chahat ho tum
Maan lo bohat khoobsurat ho tum
Bohat khoobsurat ho tum.........!!!
Author: Mujahid Ali Khan ©
mashallah Ghazab likha he