Raah-E-Ishq mai
ek baat batau jana
kabhi jo tum ho
naraz mujhse
to kar lena baat jaana
yeh baat samajhl lo
jaha ajaye dilo mai
fasle waha kuch nahi
bachta phir jaana
jo samne ho kar bhi
gar tumhara dil na
karei gawara
tau samajh lena
farq agaya hai apni
mohabbat mai jaana
aisa tau nahi hai ke
yeh fasle yeh tumhara
gussa khatm karde ga
rishte ko apne
haa musalsal sehne par
main toot jaunga jaana
tum yeh na samjhna ke
main wada shikan nikla
main tau har haal mai
khush tha tumahre
sath meri jaana
har qayfiat sab halat
jan kar ki hai mohabbat
tumse
phir kaise yeh
chand bato
par sabkuch khatam ho jaana
rishte sarei dekhei
tumne aur toote huye bhi
par apna rishta hai
sadiyo purana jaana
ek baat kahu tumse
rakhna sada chehre
par yeh muskaan
achi lagti ho tum
muskurate waqt jaana
main tau pagal hu
tumhare ishq mai
aaj baha chala hu
apna khoon jana
haa jiyunha kuch
aur pal,,
phir shayad ,
tum na sun pao
yeh zubaa.N jis
zabaaN Se hazar baar
nikla tha merii,
jaana meri jaana.!!
Author: Mujahid Ali Khan ©
kya khub kaha wah