top of page
Writer's pictureMujahid Ali Khan

Dasht E Tanhayi


Dasth-E-tanhaayi mein,apni khirDki Ke paas baithi,

Baarish kii awaaaz ko, Mehsuus karna chahtii hu.n.

Par Na Jaane kyun, kuch Puraani aawaazein

Mere kaano.n mein,zor zor se Guunj'ti rehti hain,

inn se dar kar jab, aankhein band karti huu,

to andheraa Mujhe, maazi yadoon,kii daLdaL mai

khenchta jaaata haii... DiL mein ghamoon ka Gubaar,

aankhon mein har paL intezaar,


Ye, Merii Kaapti rooh kabhi kabhi, Mujhe bohat dara deti haii,

Ke ,inn yaado.n ko kahi, kho na du,

teri Duniya ko, kahi chor.d na duu

Ssonchti huu kitni masoom thi main, Ke, Main aik ajnabi ko,

apnii umr ki taveeL raahon mein, manziL maan baithi thii.

Ke uss kekhoobsurat chehre Ko, Apne bakht ka

Raushan sitaara maan baithi thii Mujhe maLoom hii nahii tha, Ke

Dasht-e-zindagi mein,manziLe.n kho jaati hai.n

Kabhi kabhi yu,n bhi hota hai ,Ke

Jo dikahyi deti hain Manendai Sabeel

Pass jaao tau ankho se ojhal ho jaati hai


Bohat masoom thi tab bhii, Bohat masoom hu.n abb bhii

Jo tere diye zakmoon ko, iss Tarah se siii rahii huu,

Har paL mar mar, ke jee rahi huu..

Mujhe gham apna nahii, Afssoos tujhpar haii,

Ke tuune Meri masoomiyat ko pehchana nahii,

Kabhi tuune Mujhe jaana nahiii... ek aadat si hogayii haii abb to,

tamaam raat teri yaadoon ko sameit ti rehti hu.n aur chahtii huu , ke

tamaam zindagi isii masroofiyat mein kat jaaye.


Bas ya khuda is barsat ke mausam mai Yehi ek dua meri ,

QubooL ho jaye..!!Ke girti huyi boondo se,

Woh,paikar bankerMere saamne aaajaye....!!!!


Author: Mujahid Ali Khan ©


 



Recent Posts

See All

Comments


bottom of page