Hamesha
- Mujahid Ali Khan
- Sep 26, 2021
- 1 min read
Updated: Nov 4, 2021
Mere QhuLoos ko dekh kar,
Kitne vaade Ussne Mujhse,
Bass ek baar nahii,
kayii kayii baar kiye the..
aur to phir,
Ye bhii kehtii thii Mujh se,
aik paL bhii Naa Jee paungii,
Bin tere Mein mar jaungii..
Terii saans se, Merii saans ka,
Rishta jurDa hua haii Mujju...
Jab tak tujhko Naa dekhuu,
to Merii Eid nahii hoti haii....
Maine kahaa Jaan,
Main khudse zayaada tere
Pyaar par, vaadon par
Bharosaa karta huu..
Main tujhse ,
bohat pyar karta huu..
Tera aitebaar karta huu..
Kitne Afsoos aur Dukh se,
Main uske Kasmon, vadoon ko,
Uske Lehje ko, Uske andaaz ko,
Yaad karta huu,
soonchta huu,
kyun ke,
Mujhe maLuum huaa,
isne mujhse jhoot kaha tha,..
Lekin abb...
Wo jo zakham the shayaad,
Nasoor ban chuke haii,
Wo jo tere aane ka
intezaar tha shaayad,
Kasoor ban chhukaa haii..
phir kisi morD par,
tum miLL bhi jao agar,
shayad tum dekh Na paao
Mera har zakham..
Mera har dukh..
Gehra ho chuka haii,
bas yahii keh raha haii..
Maine sadiyoon tumhe
chaaha tha,
Main sadiyoon tumhe hii,
chaahunga..
Bas Meri aik aakhri
iLteja haiii khuDa se ke,
Zindagii mein Mujhko
usS tak to pohacnhaya nahiii..
Bas Ye Merii Nazm hiii
usS tak pohanchaade...
Jaanaa Mere QhuLoos ki
Keemat kuch kum Na thii,
Par aikk tUm the
Jo DauLat pe Mar gaye....
Agar kabhi tumhe ye nazm miLe,
to isSe zaroor parDhnaa,
par tumhe Merii kasam,
Kabhii aankh mein
Aansu Naa Laana..
Tumhara Mujahid
Author: Mujahid Ali Khan Poet ©

Comments