Teri nazar ka ho asar, tau samjho ghazal hui
Ho jaye yu.Nhi sehar, tau samjho ghazal hui
Judaiiyo.N ne mujhe, rulaaya hai jiss tarah
Bane jo ashq ke bhanwar, tau samjho ghazal hui
seham gaya hun inhi, qaddawar se saayon se
bane jo dhoop muntazar, tau samjho gazal hui
mera tumhaara ye saath, sadiyon ka saath hai
Bane jo tu humsafar, tau samjho ghazal hui
sambhala hai in hawaao.N, se jin ko ae haseen
wo shaano pe jaye bikhar, tau samjo ghazal hui
banalae deevaana, jo sabhi ko adayen hain
sikha de.N hum ko ye hunar, tau samjho ghazal hui
ho peher-e- aakhir vo shab ka, tu ho mere qareeb
aur waqt jaye thehar tau samjho ghazal hui
Author: Mujahid Ali Khan ©
Comentarios